#islamic #hamd #dua #munajat Main banda-e-aasi hun khatakar hun maula Lekin teri rahmat ka talabgar hun maula Wa-basta hai ummeed meri tere karam se Tera hun faqat tera parastar hun maula Main banda-e-aasi hun khatakar hun maula Lekin teri rahmat ka talabgar hun maula Bahar ke ujale mujhe kya raah sujhaye Andar ke andheron me giraftar hun maula Main banda-e-aasi hun khatakar hun maula Lekin teri rahmat ka talabgar hun maula Phir tu mere iman ko tawanai ‘ata kar Barson nahin sadiyon se main beemar hun maula Main banda-e-aasi hun khatakar hun maula Lekin teri rahmat ka talabgar hun maula Ek tera ishara ho aur asaan ho mushkil Ek lahar uthe aur main us paar hun maula Main banda-e-aasi hun khatakar hun maula Lekin teri rahmat ka talabgar hun maula