Koi to hai jo nizam e hasti chala raha hai
wohi khuda hai
dikhai bhi na day jo nazar bhi a raha hai
wohi khuda hai
wohi hai mashriq, wohi hai maghrib
safar karain sab usi ki janib
har ayney me jo aks apna dikha raha hai
wohi khuda hai
talash us ko na kar us ko buton me
wo hai badalti hui ruton me
jo din ko rat aur rat ko din bana raha hai
wohi khuda hai
azar bhi rakhay, samaatain bhi
woh jan laita hai niyyatain bhi
jo khana-e-lashaur me jagmaga raha hai
wohi khuda hai
kisi ko sochon ne kab saraha
wohi hua jo khuda ne chaha
jo ikhtiyar-e-bashar pe pehray bitha raha hai
wohi khuda hai
kisi ko taj-e-waqar bakhshay
kisi ko zillat ke ghar bakshay
jo sab ke mathay pe muhr qudrat laga raha hai
wohi khuda hai
safaid us ka, syah us ka
afas nafas hai gawah us ka
jo shola-e-jan jala raha hai, bhuja raha hai
wohi khuda hai