please subcrise toh the channel Nabi ka naam jab mere labon par raqs karta hai Lahu bhi meri shiryano ke andar raqs karta hai Meri bechain aankhon mein wo jab tashreef laate hain Tasawwur unke daaman se lipat kar raqs karta hai Wo sahraaon mein bhi paani pila dete hain pyaason ko Ki unki ungliyon mein bhi samandar raqs karta hai Padey hain naqsh-e-paa-e-Mustafa ke haar gardan mein Jabhi toh rooh lahraati hai paikar raqs karta hai Khayal aata hai jab bhi garmi-e-roz-e-qayamat ka Gham-e-isyan sar-e-dariya-e-kausar raqs karta hai Zameen-o-aasman bhi apne qaabu mein nahin rahte Tadap kar jab Muhammad ka qalandar raqs karta hai Lagi hai bheed uske gird ye kaisi farishton ki Ye kiska naam le le kar 'Muzaffar' raqs karta hai. written by Janab Muzaffar Warsi sahab #KalameMuzaffarwarsi #Naatepak