/ Mera Payamber Azeem tar hai - Urdu Audio Naat with Lyrics - Muzaffar Warsi

0 views 2 years ago

  • Default
  • Lyrics:
    Mera Payambar Azeem Tar Hai
    Kamaal-e-Khallaaq Zaat Uski
    Jamaal-e-Hasti Hayaat Uski
    Bashar Nahi Azmat-e-Bashar Hai
    Mera Payambar Azeem Tar Hai
    Woh Sharah-e-Ehkaam-e-Haq Ta'Ala
    Woh Khud He Qanoon, Khud Hawala
    Woh Khud He Qur'an, Khud He Qari
    Woh Aap Mehtaab Aap Haala
    Woh Aqs Bhi Aur Aaina Bhi
    Woh Nukta Bhi, Khat Bhi, Da'Ira Bhi
    Woh Khud Nazaara Hai, Khud Nazar Hai
    Mera Payambar Azeem Tar Hai
    Sha'oor Laaya Kitab Laaya
    Woh Hashr Tak Ka Nisaab Laya
    Diya Bhi Kaamil Nizaam Us Ne
    Aur Aap He Inqualaab Laya
    Woh Ilm Ki Aur Amal Ki Had Bhi
    Azal Bhi Uska Hai Aur Abad Bhi
    Woh Har Zamane Ka Raahbar Hai
    Mera Payambar Azeem Tar Hai
    Wo Adam Wo Nooh Us sy Ziayada
    Baland Himat Baland Irada
    Wo Zuhad Esaa Sy Koson Aagay
    Jo sab ki Manzil Wo Uaka Jagaa
    Har ek Payambar Nihaan Hai Usmain
    Hujoom-e-Paygambaran Hai Usmain
    Wo Jis Teref Hai Khuda Udher Hai
    Mera Payambar Azeem Tar Hai
    Bas Aik Mashkeeza Ik Chatai
    Zara Se Jau Aik Char Paayi
    Badan Pe Kapde Bhi Vaajibi Se
    Na Khush Libasi Na Khush Qaba'i
    Yehi Hai Kul Kainaat Jiski
    Gini Na Jaye Sifaat Jiski
    Wohi To Sultaan-e-Bahr-o-Ber Hai
    Mera Payambar Azeem Tar Hai
    Jo Apna Daaman Lahoo Se Bhar Le
    Museebatein Apni Jaan Par Le
    Jo Tegh Zen Se Lade Nihatta
    Jo Ghaalib Aakar Bhi Sulha Kar Le
    Aseer Dushman Ki Chaah Mein Bhi
    Mukhalifon Ki Nigaah Mein Bhi
    Ameen Hai Sadiq Hai Motabar Hai
    Mera Payambar Azeem Tar Hai
    Jissy Shah-e-Shash Jehat Dekhun
    Usay Ghareebon Ke Saath Dekhun
    Inan-e-Kaun-o-Makan Jo Thaamey
    Kudal Par Bhi Woh Haath Dekhun
    Lage Jo Mazdoor, Shah Aisa
    Na Zar Na Dhan, Sarbarah Aisa
    Falak Nasheen Ka Zameen Pe Ghar Hai
    Mera Payambar Azeem Tar Hai
    Woh Khalwaton Mein Bhi Saf Ba Saf Bhi
    Woh Iss Taraf Bhi Woh Uss Taraf Bhi
    Mahaaz-o-Mimbar Thikaane Us Ke
    Woh Sar Ba Sijda Bhi Sar Ba Kaf Bhi
    Kahin Woh Moti, Kahin Sitaara
    Woh Jameieyat Ka Ista'ara
    Woh Subh-e-Tahzeeb Ka Gajar Hai
    Mera Payambar Azeem Tar Hai
    Kamaal-e-Khallaaq Zaat Uski
    Jamaal-e-Hasti Hayaat Uski
    Bashar Nahi Azmat-e-Bashar Hai
    Mera Payambar Azeem Tar Hai
arrow_drop_up